kabhi to josh mein aa aur rang-o-ras pe baras
kabhī to josh meñ aa aur rang-o-ras pe baras
tū abr hai to mire jism kī havas pe baras
maiñ chāhtā huuñ koī naqsh vasl kā ubhre
ai rang-e-husn mire dil ke canvas pe baras
yaqīn maan mirī zindagī meñ haiñ hī nahīñ
guzar rahe haiñ tire bin jo ye baras pe baras
uḌā ke le hī na jaa.eñ ye āñdhiyāñ mujh ko
kahīñ baras na baras mere ḳhār-o-ḳhas pe baras
sunā hai beḌiyoñ meñ mahv-e-raqs hai 'sayyad'
chaman ko chhoḌ de kaalī ghaTā qafas pe baras
kabhi to josh mein aa aur rang-o-ras pe baras
tu abr hai to mere jism ki hawas pe baras
main chahta hun koi naqsh wasl ka ubhre
ai rang-e-husn mere dil ke canwas pe baras
yaqin man meri zindagi mein hain hi nahin
guzar rahe hain tere bin jo ye baras pe baras
uDa ke le hi na jaen ye aandhiyan mujh ko
kahin baras na baras mere KHar-o-KHas pe baras
suna hai beDiyon mein mahw-e-raqs hai 'sayyad'
chaman ko chhoD de kali ghaTa qafas pe baras
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.