kabhi to KHwab kabhi ratjage se baaten kin
kabhī to ḳhvāb kabhī ratjage se bāteñ kiiñ
tire gumān meñ ham ne diye se bāteñ kiiñ
ridā-e-shab pe na.e tarz se visāl likhā
bichhaḌne vāloñ ne ik dūsre se bāteñ kiiñ
rahī na yāroñ se ummīd ġham-gusārī kī
ghar aa.e girya kiyā aa.ine se bāteñ kiiñ
ajab mazāq hai ham ne ḳhudā ke dhoke meñ
tamām umr kisī vasvase se bāteñ kiiñ
janāb-e-shaiḳh se ik baar sāmnā ho jaa.e
karegā yaad kisī sar-phire se bāteñ kiiñ
bahut adaq thiiñ ibārāt zindagānī kī
zarā sī der ruke hāshiye se bāteñ kiiñ
hamāre hoñToñ pe pur-lutf qahqahe bikhre
hamārī āñkhoñ ne kitne maze se bāteñ kiiñ
chale to chalte ga.e haath thaam kar chup-chāp
judā hue to bahut rāste se bāteñ kiiñ
kabhi to KHwab kabhi ratjage se baaten kin
tere guman mein hum ne diye se baaten kin
rida-e-shab pe nae tarz se visal likha
bichhaDne walon ne ek dusre se baaten kin
rahi na yaron se ummid gham-gusari ki
ghar aae girya kiya aaine se baaten kin
ajab mazaq hai hum ne KHuda ke dhoke mein
tamam umr kisi waswase se baaten kin
janab-e-shaiKH se ek bar samna ho jae
karega yaad kisi sar-phire se baaten kin
bahut adaq thin ibaraat zindagani ki
zara si der ruke hashiye se baaten kin
hamare honTon pe pur-lutf qahqahe bikhre
hamari aankhon ne kitne maze se baaten kin
chale to chalte gae hath tham kar chup-chap
juda hue to bahut raste se baaten kin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.