kabhi to KHwab mein aao ki raat bhaari hai
kabhī to ḳhvāb meñ aao ki raat bhārī hai
bujhe charāġh jalāo ki raat bhārī hai
merī ummīd kī duniyā hai suunī suunī sī
zarā sī aas bañdhāo ki raat bhārī hai
mirā vajūd udāsī kī ek parchhā.ī
mirī hayāt pe chhāo ki raat bhārī hai
nafas nafas meñ tamannā ki hichkiyoñ kī kasak
ruḳh-e-jamīl dikhāo ki raat bhārī hai
ye niiñd hai zarā dekho sukūn-e-marg na ho
marīz-e-ġham ko jagāo ki raat bhārī hai
ḳhamīda palkoñ pe tāroñ kā bojh kaisā hai
nigāh-e-nāz uThāo ki raat bhārī hai
chaman-tarāzī-e-chashm-e-hasīñ kī tum ko qasam
kafan pe phuul sajāo ki raat bhārī hai
ḳhayāl-e-'aḳhtar'-e-marhūm se bhī baaz aao
dayār-e-huzn se jaao ki raat bhārī hai
kabhi to KHwab mein aao ki raat bhaari hai
bujhe charagh jalao ki raat bhaari hai
meri ummid ki duniya hai suni suni si
zara si aas bandhao ki raat bhaari hai
mera wajud udasi ki ek parchhai
meri hayat pe chhao ki raat bhaari hai
nafas nafas mein tamanna ki hichkiyon ki kasak
ruKH-e-jamil dikhao ki raat bhaari hai
ye nind hai zara dekho sukun-e-marg na ho
mariz-e-gham ko jagao ki raat bhaari hai
KHamida palkon pe taron ka bojh kaisa hai
nigah-e-naz uThao ki raat bhaari hai
chaman-taraazi-e-chashm-e-hasin ki tum ko qasam
kafan pe phul sajao ki raat bhaari hai
KHayal-e-'aKHtar'-e-marhum se bhi baz aao
dayar-e-huzn se jao ki raat bhaari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.