kabhi to mund len aanKHen kabhi nazar kholen
kabhī to muuñd leñ āñḳheñ kabhī nazar kholeñ
kisī tarah se koī raushnī kā dar kholeñ
havā.eñ sard haiñ uupar se tez bārish hai
parind kaise bhalā apne bāl-o-par kholeñ
hamāre sāmne ab aisā vaqt aa pahuñchā
ki ham dimāġh ko bāñdheñ dil-o-jigar kholeñ
bajā.e aab ho shorāb se numū jin kī
vo peḌ kaise baḌheñ kaise barg-o-bar kholeñ
yaqīn kaise dilā.eñ vafā-shi.ārī kā
diloñ ko chaak kareñ yā ki ham jigar kholeñ
nahīñ hai kuchh bhī magar dil ye chāhtā hai bahut
ki ek roz zarā chal ke apnā ghar kholeñ
har ek samt hai dīvār sar uThā.e hue
koī batā.e ki ham khiḌkiyāñ kidhar kholeñ
har ek aañkh kī putlī hai motiyā kī shikār
kise kamāl dikhā.eñ kahāñ hunar kholeñ
kabhi to mund len aanKHen kabhi nazar kholen
kisi tarah se koi raushni ka dar kholen
hawaen sard hain upar se tez barish hai
parind kaise bhala apne baal-o-par kholen
hamare samne ab aisa waqt aa pahuncha
ki hum dimagh ko bandhen dil-o-jigar kholen
bajae aab ho shorab se numu jin ki
wo peD kaise baDhen kaise barg-o-bar kholen
yaqin kaise dilaen wafa-shiari ka
dilon ko chaak karen ya ki hum jigar kholen
nahin hai kuchh bhi magar dil ye chahta hai bahut
ki ek roz zara chal ke apna ghar kholen
har ek samt hai diwar sar uThae hue
koi batae ki hum khiDkiyan kidhar kholen
har ek aankh ki putli hai motiya ki shikar
kise kamal dikhaen kahan hunar kholen
- Book : Aank Mein Luknat (Pg. 35)
- Author : Ghazanfar
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.