kabhi to nazar-e-karam mujh pe KHub-ru karte
kabhī to nazar-e-karam mujh pe ḳhūb-rū karte
tamām umr kaTī un kī aarzū karte
ḳhudī ko Thes na lagtī laboñ kī jumbish se
nigāh-e-nāz se vo mujh se guftugū karte
chaman se guzrā bahāroñ kā qāfila lekin
ham apne chāk-garebāñ kahāñ rafū karte
hamāre ghar jo kabhī jān-e-māh-rū aatā
to us ke qadmoñ pe qurbān aarzū karte
nigāheñ un se milīñ tab ye jā ke ham samjhe
shabāb yuuñ hī gañvāyā hai justujū karte
yahāñ to soz-e-tamannā meñ aañkh suukh chalī
rahī tamanna ki ashkoñ se ham vuzū karte
zafar banā lo kisī ko bhī rāz-dāñ apnā
tamām umr kaTī dil se guftugū karte
kabhi to nazar-e-karam mujh pe KHub-ru karte
tamam umr kaTi un ki aarzu karte
KHudi ko Thes na lagti labon ki jumbish se
nigah-e-naz se wo mujh se guftugu karte
chaman se guzra bahaaron ka qafila lekin
hum apne chaak-gareban kahan rafu karte
hamare ghar jo kabhi jaan-e-mah-ru aata
to us ke qadmon pe qurban aarzu karte
nigahen un se milin tab ye ja ke hum samjhe
shabab yun hi ganwaya hai justuju karte
yahan to soz-e-tamanna mein aankh sukh chali
rahi tamanna ki ashkon se hum wuzu karte
zafar bana lo kisi ko bhi raaz-dan apna
tamam umr kaTi dil se guftugu karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.