kabhi to sans teri yaad se juda nikle
kabhī to saañs tirī yaad se judā nikle
hamārī shab ke muqaddar se ratjagā nikle
ajab nahīñ ki mire baad merā kul tarka
harā-bharā sā bas ik zaḳhm aur diyā nikle
bhañvar ne gher liyā hai so bach na pā.ūñgā
ye ishq khel nahīñ hai ki rāsta nikle
yahāñ to bolte rahnā bahut zarūrī hai
suḳhan ke shahr meñ gūñge kidhar se aa nikle
tumhārī aah pe mātam-ba-dast hai duniyā
hamāre dard pe har muñh se qahqaha nikle
vo ḳhvāb niiñd kī suulī pe bain kartā hai
jo surḳh aañkh kī zad se mirā havā nikle
hamāre chāhne vāloñ ko ham se shikva hai
samajh rahe the vo patthar ham ā.īna nikle
kabhi to sans teri yaad se juda nikle
hamari shab ke muqaddar se ratjaga nikle
ajab nahin ki mere baad mera kul tarka
hara-bhara sa bas ek zaKHm aur diya nikle
bhanwar ne gher liya hai so bach na paunga
ye ishq khel nahin hai ki rasta nikle
yahan to bolte rahna bahut zaruri hai
suKHan ke shahr mein gunge kidhar se aa nikle
tumhaari aah pe matam-ba-dast hai duniya
hamare dard pe har munh se qahqaha nikle
wo KHwab nind ki suli pe bain karta hai
jo surKH aankh ki zad se mera hawa nikle
hamare chahne walon ko hum se shikwa hai
samajh rahe the wo patthar hum aaina nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.