kabhi to sehn-e-ana se nikle kahin pe dasht-e-malal aaya
kabhī to sehn-e-anā se nikle kahīñ pe dasht-e-malāl aayā
hamārī vahshat pe kaisā kaisā 'urūj aayā zavāl aayā
adāvateñ thiiñ mohabbateñ thiiñ na jaane kitnī hī hasrateñ thiiñ
magar phir aisā huā ki sab kuchh maiñ ḳhud hī dil se nikāl aayā
kabhī 'ibādat kabhī 'ināyat kabhī du'ā.eñ kabhī atā.eñ
kahīñ pe dast-e-talab bane ham kahīñ pe ham tak savāl aayā
guloñ ke chehre khile hue haiñ havā meñ ḳhush-bū mahak rahī hai
ye merī āñkhoñ ne ḳhvāb dekhā ki sail-e-husn-o-jamāl aayā
tamām ranj-o-mehan ko chhoḌeñ tumhīñ ko dekheñ tumhīñ ko socheñ
baḌe zamāne ke baa'd dil meñ ye bhūlā bisrā ḳhayāl aayā
ġhazal sunā.ūñ to daad pā.ūñ magar maiñ tum se bhī kyā chhupā.ūñ
tumhī ne saare hunar sikhā.e tumhī se rañg-e-'hilāl' aayā
kabhi to sehn-e-ana se nikle kahin pe dasht-e-malal aaya
hamari wahshat pe kaisa kaisa 'uruj aaya zawal aaya
adawaten thin mohabbaten thin na jaane kitni hi hasraten thin
magar phir aisa hua ki sab kuchh main KHud hi dil se nikal aaya
kabhi 'ibaadat kabhi 'inayat kabhi du'aen kabhi ataen
kahin pe dast-e-talab bane hum kahin pe hum tak sawal aaya
gulon ke chehre khile hue hain hawa mein KHush-bu mahak rahi hai
ye meri aankhon ne KHwab dekha ki sail-e-husn-o-jamal aaya
tamam ranj-o-mehan ko chhoDen tumhin ko dekhen tumhin ko sochen
baDe zamane ke ba'd dil mein ye bhula bisra KHayal aaya
ghazal sunaun to dad paun magar main tum se bhi kya chhupaun
tumhi ne sare hunar sikhae tumhi se rang-e-'hilal' aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.