kabhi tumne kuchh to diya nahin kabhi humne kuchh to liya nahin
kabhi tumne kuchh to diya nahin kabhi humne kuchh to liya nahin
Ahmad Hamesh
MORE BYAhmad Hamesh
kabhī tum ne kuchh to diyā nahīñ kabhī ham ne kuchh to liyā nahīñ
hameñ zindagī se ho bahs kyā koī vāqi.a to huā nahīñ
magar aisī koī ḳhalish bhī thī jo faqat hamārā nasīb thī
ki jo rog ham ne lagā liyā kisī aur ko to lagā nahīñ
zarā dekhnā ki vo kaun hai pas-e-ramz-e-vahshat-e-āshiqī
bhalā kis ne ham ko shikast dī kabhī pahle aisā huā nahīñ
jise paas aanā thā aa gayā ki nafas ke taar bhī juḌ ga.e
ki talab kī thiiñ yahī manzileñ koī fāsla to rahā nahīñ
baḌī vu'sateñ haiñ zamīn par hameñ aur chāhiye kyā magar
vo jo husn us kī nazar meñ hai koī us se baḌh kar milā nahīñ
vo jo mil chukī haiñ aziyyateñ chalo maan leñ ki bahut huā
magar ab milā hai jo hausla kisī aur ko to milā nahīñ
kabhi tum ne kuchh to diya nahin kabhi hum ne kuchh to liya nahin
hamein zindagi se ho bahs kya koi waqia to hua nahin
magar aisi koi KHalish bhi thi jo faqat hamara nasib thi
ki jo rog hum ne laga liya kisi aur ko to laga nahin
zara dekhna ki wo kaun hai pas-e-ramz-e-wahshat-e-ashiqi
bhala kis ne hum ko shikast di kabhi pahle aisa hua nahin
jise pas aana tha aa gaya ki nafas ke tar bhi juD gae
ki talab ki thin yahi manzilen koi fasla to raha nahin
baDi wu'saten hain zamin par hamein aur chahiye kya magar
wo jo husn us ki nazar mein hai koi us se baDh kar mila nahin
wo jo mil chuki hain aziyyaten chalo man len ki bahut hua
magar ab mila hai jo hausla kisi aur ko to mila nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.