kabhi tum se jab bhi mulaqat hogi
kabhī tum se jab bhī mulāqāt hogī
baḌe pyaar se pyaar kī baat hogī
tumhāre havāle mirī zindagī hai
baḌī is se kyā aur sauġhāt hogī
nazar kab talak aap us par rakheñge
machal jā.egā chāñd jab raat hogī
milāo na nazreñ bikhero na zulfeñ
bahak jā.egā dil jo barsāt hogī
zamīñ jab talak hai yaqīñ tab talak hai
kisī roz tum se mulāqāt hogī
nahīñ haar hogī kabhī haar kar bhī
tire haath merī agar maat hogī
milegā virāsat meñ jo kuchh bhī tujh ko
vo daulat nahīñ yaar ḳhairāt hogī
kabhi tum se jab bhi mulaqat hogi
baDe pyar se pyar ki baat hogi
tumhaare hawale meri zindagi hai
baDi is se kya aur saughat hogi
nazar kab talak aap us par rakhenge
machal jaega chand jab raat hogi
milao na nazren bikhero na zulfen
bahak jaega dil jo barsat hogi
zamin jab talak hai yaqin tab talak hai
kisi roz tum se mulaqat hogi
nahin haar hogi kabhi haar kar bhi
tere hath meri agar mat hogi
milega wirasat mein jo kuchh bhi tujh ko
wo daulat nahin yar KHairaat hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.