kabhi TuTa na afsun-e-sitam teri huzuri ka
kabhī TuuTā na afsūn-e-sitam terī huzūrī kā
bahut nazdīk rah kar bhī rahā ehsās-e-dūrī kā
kahāñ tak saath degī dekheñ apnī be-niyāzī bhī
ḳhumār-e-tishnagī ḳhamyāza hai dasht-e-subūrī kā
hazāroñ āftāboñ ke lahū se tamtamātā hai
bharam ik muskurāte chehra-e-zebā kī nuurī kā
huzūr irshād apnā merī āñkhoñ meñ basā diije
ki phir shākī na ho koī bayāñ manzar se duurī kā
ye mahrūmī to apnī bebasī hī kī mukāfī hai
sila kuchh aur honā chāhiye thā nā-subūrī kā
mohabbat ḳhud-farāmoshī se guzrī ab ye aalam hai
ki ik aalam tamāshā.ī hai apnī be-shu.ūrī kā
kabhi TuTa na afsun-e-sitam teri huzuri ka
bahut nazdik rah kar bhi raha ehsas-e-duri ka
kahan tak sath degi dekhen apni be-niyazi bhi
KHumar-e-tishnagi KHamyaza hai dasht-e-suburi ka
hazaron aaftabon ke lahu se tamtamata hai
bharam ek muskuraate chehra-e-zeba ki nuri ka
huzur irshad apna meri aankhon mein basa dije
ki phir shaki na ho koi bayan manzar se duri ka
ye mahrumi to apni bebasi hi ki mukafi hai
sila kuchh aur hona chahiye tha na-suburi ka
mohabbat KHud-faramoshi se guzri ab ye aalam hai
ki ek aalam tamashai hai apni be-shuuri ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.