kabhi uDo to sahi tum uDan se upar
kabhī uḌo to sahī tum uḌaan se uupar
fazā.eñ aur bhī haiñ āsmān se uupar
mirā safīna ajab kashmakash meñ tairtā thā
havā sukūt meñ thī bādbān se uupar
kisī ne sach na kahā aur sab ne sach jaanā
ajab kamāl-e-bayāñ thā bayān se uupar
mire harīf ke sab tiir be-ḳhatā to na the
magar vo dast-e-amāñ thā kamān se uupar
kisī ne aaj hī paanī meñ paañv Daalā hai
chalā hai aaj hī dariyā nishān se uupar
mirā qabīla tah-e-āsmāñ hai be-ḳhemā
yaqīñ kī had hai magar har gumān se uupar
agar ye qāfila merā nahīñ to phir 'at.har'
hai kis alaav kā partav chaTān se uupar
kabhi uDo to sahi tum uDan se upar
fazaen aur bhi hain aasman se upar
mera safina ajab kashmakash mein tairta tha
hawa sukut mein thi baadban se upar
kisi ne sach na kaha aur sab ne sach jaana
ajab kamal-e-bayan tha bayan se upar
mere harif ke sab tir be-KHata to na the
magar wo dast-e-aman tha kaman se upar
kisi ne aaj hi pani mein panw Dala hai
chala hai aaj hi dariya nishan se upar
mera qabila tah-e-asman hai be-KHema
yaqin ki had hai magar har guman se upar
agar ye qafila mera nahin to phir 'athar'
hai kis alaw ka partaw chaTan se upar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.