kabhi us par yun bhi mera asar jae
kabhī us par yuuñ bhī merā asar jaa.e
galī se merī guzre to Thahar jaa.e
vo bhī gar be-dilī se Thukrā de mujh ko
to phir ye dil kise chāhe kidhar jaa.e
nahīñ chāhat mujhe ab ghar sajāne kī
jī to kartā hai ab sab kuchh bikhar jaa.e
guzartī hai qayāmat mere is dil par
kabhī jo sāmne se vo guzar jaa.e
hai jaadū uñgliyoñ meñ is qadar us kī
ki jis ko pyaar se chhū le nikhar jaa.e
yahī ik iltijā hai chāñd se merī
kabhī āñgan meñ utre to Thahar jaa.e
kaho 'satyārth' kuchh yuuñ baat tum apnī
ki har ik shaḳhs par is kā asar jaa.e
kabhi us par yun bhi mera asar jae
gali se meri guzre to Thahar jae
wo bhi gar be-dili se Thukra de mujh ko
to phir ye dil kise chahe kidhar jae
nahin chahat mujhe ab ghar sajaane ki
ji to karta hai ab sab kuchh bikhar jae
guzarti hai qayamat mere is dil par
kabhi jo samne se wo guzar jae
hai jadu ungliyon mein is qadar us ki
ki jis ko pyar se chhu le nikhar jae
yahi ek iltija hai chand se meri
kabhi aangan mein utre to Thahar jae
kaho 'satyarth' kuchh yun baat tum apni
ki har ek shaKHs par is ka asar jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.