kabhi use to kabhi KHud ko dekhte rahna
kabhī use to kabhī ḳhud ko dekhte rahnā
isī madār meñ din raat ghūmte rahnā
ham apnā farz kareñge adā ba-har sūrat
hamārā kaam hai rāheñ tarāshte rahnā
vo mahv honā mirā shaam se tirī dhun meñ
tamām raat tirī raah dekhte rahnā
na hone denā kabhī past hausloñ kī fasīl
kamand chāñd sitāroñ pe Dālte rahnā
uThā.e rakhnā isī ik usuul kā parcham
burā na karnā bhalā sab kā chāhte rahnā
najāt tīra-shabī se jo chāhte ho 'zafar'
nuqūsh-e-sub.h-e-daraḳhshāñ ubhārte rahnā
kabhi use to kabhi KHud ko dekhte rahna
isi madar mein din raat ghumte rahna
hum apna farz karenge ada ba-har surat
hamara kaam hai rahen tarashte rahna
wo mahw hona mera sham se teri dhun mein
tamam raat teri rah dekhte rahna
na hone dena kabhi past hauslon ki fasil
kamand chand sitaron pe Dalte rahna
uThae rakhna isi ek usul ka parcham
bura na karna bhala sab ka chahte rahna
najat tira-shabi se jo chahte ho 'zafar'
nuqush-e-subh-e-daraKHshan ubhaarte rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.