kabhi utren agar poshak ke rang
kabhī utreñ agar poshāk ke rañg
falak dekhegā merī ḳhaak ke rañg
baḌī mushkil meñ hai ab ye zamīñ-zād
judā kar ḳhaak se aflāk ke rañg
kahīñ dekho izāfī kuchh nahīñ hai
bahut pheñke haiñ us ne taak ke rañg
kahānī hai koī dariyā meñ zinda
lab-e-dariyā ajab haiñ ḳhaak ke rañg
ye qissa hī agar hai gumrahī kā
to kyā chamkeñ yahāñ idrāk ke rañg
falak ne faisla kuchh kar liyā hai
ki maddham paḌ rahe haiñ ḳhaak ke rañg
vahī hai haal mere dil kā 'ḳhāvar'
vahī hai dīda-e-nam-nāk ke rañg
kabhi utren agar poshak ke rang
falak dekhega meri KHak ke rang
baDi mushkil mein hai ab ye zamin-zad
juda kar KHak se aflak ke rang
kahin dekho izafi kuchh nahin hai
bahut phenke hain us ne tak ke rang
kahani hai koi dariya mein zinda
lab-e-dariya ajab hain KHak ke rang
ye qissa hi agar hai gumrahi ka
to kya chamken yahan idrak ke rang
falak ne faisla kuchh kar liya hai
ki maddham paD rahe hain KHak ke rang
wahi hai haal mere dil ka 'KHawar'
wahi hai dida-e-nam-nak ke rang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.