kabhi wafaen kabhi bewafaiyan dekhin
kabhī vafā.eñ kabhī bevafā.iyāñ dekhīñ
maiñ un butoñ kī ġharaz āshnā.iyāñ dekhīñ
ham uTh chale jo kabhī us galī ko vahshat meñ
to us ghaḌī na kueñ aur na khā.iyāñ dekhīñ
zahe nasīb haiñ us ke ki jis ne vasl kī shab
gale meñ apne vo nāzuk kalā.iyāñ dekhīñ
ye satah-e-ḳhāk hai kyā razm-gāh kā maidān
ki jis pe hotī huī nit laḌā.iyāñ dekhīñ
galī meñ us kī ye bāzār-e-marg garm huā
ki daad ḳhvāhoñ kī vaañ chārpā.iyāñ dekhīñ
rakhā na ḳhat kabhī aariz pe us parī-rū ne
ba-rañg-e-ā.īna nit vaañ safā.iyāñ dekhīñ
hunūz jiite rahe haiñ to saḳht-jānī se
vagarna ham ne bhī kyā kyā judā.iyāñ dekhīñ
na haath aa.ī mire 'mus.hafī' vo zulf-e-rasā
maiñ tāle.oñ kī bhī apne rasā.iyāñ dekhīñ
kabhi wafaen kabhi bewafaiyan dekhin
main un buton ki gharaz aashnaiyan dekhin
hum uTh chale jo kabhi us gali ko wahshat mein
to us ghaDi na kuen aur na khaiyan dekhin
zahe nasib hain us ke ki jis ne wasl ki shab
gale mein apne wo nazuk kalaiyan dekhin
ye satah-e-KHak hai kya razm-gah ka maidan
ki jis pe hoti hui nit laDaiyan dekhin
gali mein us ki ye bazar-e-marg garm hua
ki dad KHwahon ki wan chaarpaiyan dekhin
rakha na KHat kabhi aariz pe us pari-ru ne
ba-rang-e-aina nit wan safaiyan dekhin
hunuz jite rahe hain to saKHt-jaani se
wagarna hum ne bhi kya kya judaiyan dekhin
na hath aai mere 'mushafi' wo zulf-e-rasa
main taleon ki bhi apne rasaiyan dekhin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.