kabhi wo dida-e-dil wa bhi chhoD jate hain
kabhī vo dīda-e-dil vā bhī chhoḌ jaate haiñ
kabhī ḳhayāl kā rasta bhī chhoḌ jaate haiñ
na jaao ghar ke shab-afroz rauzanoñ pe ki log
diyā makān meñ jaltā bhī chhoḌ jaate haiñ
kuchh e'tibār nahīñ ham-rahān-e-sahrā kā
ye duur shahr se tanhā bhī chhoḌ jaate haiñ
jo bul-havas haiñ phir aate haiñ tere kūche meñ
jo be-ġharaz haiñ vo duniyā bhī chhoḌ jaate haiñ
palTte bhī nahīñ sarmastiyoñ ke sail aur phir
nishāniyāñ lab-e-dariyā bhī chhoḌ jaate haiñ
ab is se peshravān-e-chaman ko kyā matlab
chaman-nashīnoñ ko jaisā bhī chhoḌ jaate haiñ
baḌhā bhī lete haiñ rahgīr un kī ḳhaak se pyaar
phir apnī ḳhaak ko rusvā bhī chhoḌ jaate haiñ
kabhi wo dida-e-dil wa bhi chhoD jate hain
kabhi KHayal ka rasta bhi chhoD jate hain
na jao ghar ke shab-afroz rauzanon pe ki log
diya makan mein jalta bhi chhoD jate hain
kuchh e'tibar nahin ham-rahan-e-sahra ka
ye dur shahr se tanha bhi chhoD jate hain
jo bul-hawas hain phir aate hain tere kuche mein
jo be-gharaz hain wo duniya bhi chhoD jate hain
palTte bhi nahin sarmastiyon ke sail aur phir
nishaniyan lab-e-dariya bhi chhoD jate hain
ab is se peshrawan-e-chaman ko kya matlab
chaman-nashinon ko jaisa bhi chhoD jate hain
baDha bhi lete hain rahgir un ki KHak se pyar
phir apni KHak ko ruswa bhi chhoD jate hain
- Book : jadeed urdu gazal (Pg. 222)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.