kabhi wo KHud se bhi barham dikhai deta hai
kabhī vo ḳhud se bhī barham dikhā.ī detā hai
kabhī vo lutf-e-mujassam dikhā.ī detā hai
zamāna hotā hai majbūr ruḳh badalne par
kisī kā azm jo mohkam dikhā.ī detā hai
urūs-e-dahr kī rañgīnī-e-jamāl meñ ab
tire shabāb kā aalam dikhā.ī detā hai
talāsh-e-dost masāfat hai ek lā-mahdūd
ki jis qadar bhī chaleñ kam dikhā.ī detā hai
kabhi wo KHud se bhi barham dikhai deta hai
kabhi wo lutf-e-mujassam dikhai deta hai
zamana hota hai majbur ruKH badalne par
kisi ka azm jo mohkam dikhai deta hai
urus-e-dahr ki rangini-e-jamal mein ab
tere shabab ka aalam dikhai deta hai
talash-e-dost masafat hai ek la-mahdud
ki jis qadar bhi chalen kam dikhai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.