kabhi wo ranj ke sanche mein Dhaal deta hai
kabhī vo rañj ke sāñche meñ Dhaal detā hai
kabhī ḳhushī vo mujhe be-misāl detā hai
javāb sochtī rahtī huuñ maiñ ka.ī din tak
vo ik savāl havā meñ uchhāl detā hai
hamāre pyaar sā duniyā meñ pyaar sab kā ho
hamāre pyaar kī ye jag misāl detā hai
kisī ko rañg banātā hai vo sudāmā sā
kisī ko daulat-o-jāh-o-jalāl detā hai
jo mujh se sher ke sāñche meñ Dhal nahīñ paatā
ḳhudā kabhī mujhe aisā ḳhayāl detā hai
usī ke haath meñ hai kārobār duniyā kā
kabhī kamāl kabhī vo zavāl detā hai
vo shā.eroñ ko atā kartā hai ḳhayāl na.e
musavviroñ ko vo kasb-e-kamāl detā hai
hai us kā ḳhaas karam mere dil pe ai 'shobhā'
vo mere dil ko kasak lā-zavāl detā hai
kabhi wo ranj ke sanche mein Dhaal deta hai
kabhi KHushi wo mujhe be-misal deta hai
jawab sochti rahti hun main kai din tak
wo ek sawal hawa mein uchhaal deta hai
hamare pyar sa duniya mein pyar sab ka ho
hamare pyar ki ye jag misal deta hai
kisi ko rang banata hai wo sudama sa
kisi ko daulat-o-jah-o-jalal deta hai
jo mujh se sher ke sanche mein Dhal nahin pata
KHuda kabhi mujhe aisa KHayal deta hai
usi ke hath mein hai karobar duniya ka
kabhi kamal kabhi wo zawal deta hai
wo shaeron ko ata karta hai KHayal nae
musawwiron ko wo kasb-e-kamal deta hai
hai us ka KHas karam mere dil pe ai 'shobha'
wo mere dil ko kasak la-zawal deta hai
- Book : Rehguzar (Pg. 34)
- Author : Shobha Kukkal
- Publication : Kalpant publication B-2 Mansrovar park shahdra delhi-32 (2012-2013)
- Edition : 2012-2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.