kabhi yan hamein the nire gile kabhi wo hi shikwe se tar gaya
kabhi yan hamein the nire gile kabhi wo hi shikwe se tar gaya
Sharar Dehlvi
MORE BYSharar Dehlvi
kabhī yaañ hameñ the nire gile kabhī vo hī shikve se tar gayā
kabhī donoñ jo hue raazī se to vo ishq hī thā guzar gayā
mujhe shauq thā ka.ī chiiz kā ka.ī chiiz ko mirā shauq thā
tire vāste vo shaġhaf ga.e tire vāste vo hunar gayā
ye vo aarzū ye vo āshiyāñ tujhe chhūT dī to tabāh kar
tujhe karnā hai jo vo kar le jā mire dil se ḳhauf-e-safar gayā
unheñ bhuul ab tū na din ba din jo mileñ haiñ zillateñ din ba din
vo qamar hī kyā jise yaad nā yaañ se dāġh-e-dil vo kidhar gayā
tumheñ ab vafā kī qasam sanam karo phir ye gesū usī tarah
ki ye zulfeñ phir hoñ sipāh sī ye idhar rahā vo udhar gayā
mirī ḳhvāhishoñ kī ḳharābiyāñ inheñ pheñk duuñ maiñ nikāl kar
kabhī vasl hai koī aarzū kabhī aa.e vo to jigar gayā
tire un laboñ ke ye sadqe haiñ tirī Thokaroñ se mile hunar
tire kūche ke jo ye majnūñ the ye sudhar gayā vo sañvar gayā
ye 'sharar' ko hī nahīñ jānte vo baḌe maze kā hai aadmī
tumhīñ se ḳhatā huī hogī tab kabhī ruuTh ham se 'sharar' gayā
kabhi yan hamein the nire gile kabhi wo hi shikwe se tar gaya
kabhi donon jo hue raazi se to wo ishq hi tha guzar gaya
mujhe shauq tha kai chiz ka kai chiz ko mera shauq tha
tere waste wo shaghaf gae tere waste wo hunar gaya
ye wo aarzu ye wo aashiyan tujhe chhuT di to tabah kar
tujhe karna hai jo wo kar le ja mere dil se KHauf-e-safar gaya
unhen bhul ab tu na din ba din jo milen hain zillaten din ba din
wo qamar hi kya jise yaad na yan se dagh-e-dil wo kidhar gaya
tumhein ab wafa ki qasam sanam karo phir ye gesu usi tarah
ki ye zulfen phir hon sipah si ye idhar raha wo udhar gaya
meri KHwahishon ki KHarabiyan inhen phenk dun main nikal kar
kabhi wasl hai koi aarzu kabhi aae wo to jigar gaya
tere un labon ke ye sadqe hain teri Thokaron se mile hunar
tere kuche ke jo ye majnun the ye sudhar gaya wo sanwar gaya
ye 'sharar' ko hi nahin jaante wo baDe maze ka hai aadmi
tumhin se KHata hui hogi tab kabhi ruTh hum se 'sharar' gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.