kabhi ye dar kabhi karbala sa lagta hai
kabhī ye daar kabhī karbalā sā lagtā hai
mirā vajūd koī sāneha sā lagtā hai
har ek saañs pe zaḳhmoñ kā ik hujūm liye
mire lahū meñ koī dauḌtā sā lagtā hai
utar rahā hai mire dil meñ chīḳhtā sūraj
ye vāqi.a to kisī badduā sā lagtā hai
usī ko zahr samajhte haiñ mere ghar vaale
vo aadmī jo mujhe devtā sā lagtā hai
bujhā hī rahne do ye bulb room band rakho
ghanā añdherā mujhe dilrubā sā lagtā hai
na jaane kaun mujhe chhīn le gayā mujh se
ab apne aap meñ koī ḳhalā sā lagtā hai
maiñ har savāl kā rakhtā huuñ ik javāb magar
koī savāl kare to burā sā lagtā hai
na jaane kaun chhupā baiThā hai mire andar
jo boltā hai to aksar ḳhudā sā lagtā hai
na jaane us se mirā kis janam kā rishta hai
burā bhī mujh ko kahe to bhalā sā lagtā hai
kabhi ye dar kabhi karbala sa lagta hai
mera wajud koi saneha sa lagta hai
har ek sans pe zaKHmon ka ek hujum liye
mere lahu mein koi dauDta sa lagta hai
utar raha hai mere dil mein chiKHta suraj
ye waqia to kisi baddua sa lagta hai
usi ko zahr samajhte hain mere ghar wale
wo aadmi jo mujhe dewta sa lagta hai
bujha hi rahne do ye bulb room band rakho
ghana andhera mujhe dilruba sa lagta hai
na jaane kaun mujhe chhin le gaya mujh se
ab apne aap mein koi KHala sa lagta hai
main har sawal ka rakhta hun ek jawab magar
koi sawal kare to bura sa lagta hai
na jaane kaun chhupa baiTha hai mere andar
jo bolta hai to aksar KHuda sa lagta hai
na jaane us se mera kis janam ka rishta hai
bura bhi mujh ko kahe to bhala sa lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.