kabhi ye zindagi achchhi-bhali bhi guzri thi
kabhi ye zindagi achchhi-bhali bhi guzri thi
Dheerendra Singh Faiyaz
MORE BYDheerendra Singh Faiyaz
kabhī ye zindagī achchhī-bhalī bhī guzrī thī
hamāre hoñToñ se ya.anī hañsī bhī guzrī thī
abhī sukūt hai sehrā hai dhuul uḌtī hai
inhīñ do āñkhoñ se pahle nadī bhī guzrī thī
tamām lafzoñ kī sargoshiyāñ sunīñ shab bhar
sadā.eñ detī huī shā.irī bhī guzrī thī
har ek raah meñ har lahza DhūñDhtā huuñ maiñ
yahāñ se ishq kī sañkrī galī bhī guzrī thī
mujhe hī baat nahīñ karnī thī koī varna
mire qarīb se kal zindagī bhī guzrī thī
jahāñ pe zindagī baiThī hai paañv phailā kar
usī galī se kabhī ḳhud-kushī bhī guzrī thī
abhī to sirf guzartī hai mujh pe tanhā.ī
kabhī mujhī se tumhārī kamī bhī guzrī thī
kabhi ye zindagi achchhi-bhali bhi guzri thi
hamare honTon se yani hansi bhi guzri thi
abhi sukut hai sehra hai dhul uDti hai
inhin do aankhon se pahle nadi bhi guzri thi
tamam lafzon ki sargoshiyan sunin shab bhar
sadaen deti hui shairi bhi guzri thi
har ek rah mein har lahza DhunDhta hun main
yahan se ishq ki sankri gali bhi guzri thi
mujhe hi baat nahin karni thi koi warna
mere qarib se kal zindagi bhi guzri thi
jahan pe zindagi baiThi hai panw phaila kar
usi gali se kabhi KHud-kushi bhi guzri thi
abhi to sirf guzarti hai mujh pe tanhai
kabhi mujhi se tumhaari kami bhi guzri thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.