kabhi zamin kabhi aasman mein uljha
kabhī zamīn kabhī āsmān meñ uljhā
maiñ tere baad kaḌe imtihān meñ uljhā
vo lashkarī huuñ jo apnī sipāh se uljhe
maiñ ek tiir huuñ apnī kamān meñ uljhā
ka.ī bhañvar the tah-e-āb aur kashtī meñ
havā kā haath kabhī bādbān meñ uljhā
nisāb-e-ishq qadāmat-pasand hai jab hī
vafā kā baab rahā raftagān meñ uljhā
maiñ hāshiyoñ meñ likhā muḳhtasar havāla huuñ
mujhe diyā hai yūñhī dāstān meñ uljhā
kabhi zamin kabhi aasman mein uljha
main tere baad kaDe imtihan mein uljha
wo lashkari hun jo apni sipah se uljhe
main ek tir hun apni kaman mein uljha
kai bhanwar the tah-e-ab aur kashti mein
hawa ka hath kabhi baadban mein uljha
nisab-e-ishq qadamat-pasand hai jab hi
wafa ka bab raha raftagan mein uljha
main hashiyon mein likha muKHtasar hawala hun
mujhe diya hai yunhi dastan mein uljha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.