kabhi zamin na kahin aasman se niklega
kabhī zamīñ na kahīñ āsmāñ se niklegā
hamārā raaz kisī rāz-dāñ se niklegā
vo ek ashk mirī āqibat sañvāregā
shab-e-firāq jo chashm-e-ayāñ se niklegā
mujhe ḳhabar hai mirī maut kā sabab mire dost
bas ek tiir tumhārī kamāñ se niklegā
maiñ nā-rasā.ī se imkān khoj letā huuñ
mirā yaqīn bhī mere gumāñ se niklegā
jo bevafā.ī se ta.abīr kar rahā hai mujhe
vo kam-shanās mirī dāstāñ se niklegā
use nikālā gayā thā bahisht se pahle
ab us ke baad ye aadam jahāñ se niklegā
ab aur zabt karegā to 'ābdī' terā
shakeb aañkh ke sail-e-ravāñ se niklegā
kabhi zamin na kahin aasman se niklega
hamara raaz kisi raaz-dan se niklega
wo ek ashk meri aaqibat sanwarega
shab-e-firaq jo chashm-e-ayan se niklega
mujhe KHabar hai meri maut ka sabab mere dost
bas ek tir tumhaari kaman se niklega
main na-rasai se imkan khoj leta hun
mera yaqin bhi mere guman se niklega
jo bewafai se tabir kar raha hai mujhe
wo kam-shanas meri dastan se niklega
use nikala gaya tha bahisht se pahle
ab us ke baad ye aadam jahan se niklega
ab aur zabt karega to 'abdi' tera
shakeb aankh ke sail-e-rawan se niklega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.