kabhi zamin pe kabhi nile aasman mein hun
kabhī zamīñ pe kabhī niile āsmān meñ huuñ
havā kī tarah maiñ har pal na.e makān meñ huuñ
tirā vaqār to mere hī dam se qaa.em hai
maiñ misl-e-āb-e-guhar terī ān-bān meñ huuñ
laboñ se us ke nikal kar huā huuñ āvāra
maiñ ek lafz huuñ har-dam na.ī uḌaan meñ huuñ
mujhe to gahre samundar se jā ke milnā hai
abhī maiñ ruk nahīñ saktā abhī Dhalān meñ huuñ
samajh tū mujh ko zarā merī qadr kar nādāñ
maiñ āsmānī sahīfa tirī zabān meñ huuñ
mire hisār meñ thī saarī kā.enāt kabhī
sitam hai qaid maiñ ḳhud apne hī makān meñ huuñ
agar hai shauq to mujh ko ḳharīd le aakar
ki maiñ to shahr-e-havas kī har ik dukān meñ huuñ
kabhi zamin pe kabhi nile aasman mein hun
hawa ki tarah main har pal nae makan mein hun
tera waqar to mere hi dam se qaem hai
main misl-e-ab-e-guhar teri aan-ban mein hun
labon se us ke nikal kar hua hun aawara
main ek lafz hun har-dam nai uDan mein hun
mujhe to gahre samundar se ja ke milna hai
abhi main ruk nahin sakta abhi Dhalan mein hun
samajh tu mujh ko zara meri qadr kar nadan
main aasmani sahifa teri zaban mein hun
mere hisar mein thi sari kaenat kabhi
sitam hai qaid main KHud apne hi makan mein hun
agar hai shauq to mujh ko KHarid le aakar
ki main to shahr-e-hawas ki har ek dukan mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.