kabhi zamin se kabhi aasman se guzre hain
kabhī zamīñ se kabhī āsmāñ se guzre haiñ
tirī talāsh meñ ham lā-makāñ se guzre haiñ
junūn-e-shauq meñ dekho kahāñ se guzre haiñ
ki dasht se to kabhī kahkashāñ se guzre haiñ
na pūchh ham se tū ab to hamārī hālat ko
tire firāq meñ dard-o-fuġhāñ se guzre haiñ
vo marhale bhī haiñ guzre yuuñ ḳhastā-hāloñ par
bahāroñ se na kabhī ham ḳhizāñ se guzre haiñ
bashar haiñ ham to zamāne ke ab satā.e hue
ki rāh-e-ishq pe ham shādmāñ se guzre haiñ
ye kaisā shor hai saarī fazāoñ meñ yaaro
ki log saare hī mātam-kunāñ se guzre haiñ
vo nām-levā tire jā chuke haiñ duniyā se
janāb-e-'qalb' bhī āḳhir jahāñ se guzre haiñ
kabhi zamin se kabhi aasman se guzre hain
teri talash mein hum la-makan se guzre hain
junun-e-shauq mein dekho kahan se guzre hain
ki dasht se to kabhi kahkashan se guzre hain
na puchh hum se tu ab to hamari haalat ko
tere firaq mein dard-o-fughan se guzre hain
wo marhale bhi hain guzre yun KHasta-haalon par
bahaaron se na kabhi hum KHizan se guzre hain
bashar hain hum to zamane ke ab satae hue
ki rah-e-ishq pe hum shadman se guzre hain
ye kaisa shor hai sari fazaon mein yaro
ki log sare hi matam-kunan se guzre hain
wo nam-lewa tere ja chuke hain duniya se
janab-e-'qalb' bhi aaKHir jahan se guzre hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.