kabhi zarra kabhi mauj-e-rawan hai
kabhī zarra kabhī mauj-e-ravāñ hai
haqīqat hai nihāñ garche ayaañ hai
taġhayyur se ibārat ye jahāñ hai
ibārat meñ taġhayyur par kahāñ hai
zamāñ bhī hai safar meñ aur makāñ bhī
tasalsul meñ nihāñ isbāt-e-jāñ hai
jahāñ taḳhlīq o ḳhāliq ham-zabāñ haiñ
vahāñ har jumbish-e-lab kun-fakāñ hai
manāzil-dar-manāzil haiñ safar meñ
safar manzil hai manzil kārvāñ hai
sabā mastūr hai parde meñ lekin
sabā kā naqsh har gul par ayaañ hai
malā.ik bhī jhukeñ labbaik kah kar
anal-haq kī fuġhāñ aisī azaañ hai
farishtoñ ke paroñ ko chhū ke guzre
ye naqsh-e-pā-e-ḳhākī āsmāñ hai
mire dam se maqālāt-e-azal haiñ
mire dam se abad kī dāstāñ hai
mirā virsa junūñ kī ābiyārī
mirī mīrās tarkīb-e-fuġhāñ hai
maiñ hast-o-būd ke bas meñ nahīñ huuñ
mire bas meñ hayāt-e-jāvidāñ hai
tasavvur se harīm-e-zāt 'tal.at'
kabhī ātish kabhī ātish-fishāñ hai
kabhi zarra kabhi mauj-e-rawan hai
haqiqat hai nihan garche ayan hai
taghayyur se ibarat ye jahan hai
ibarat mein taghayyur par kahan hai
zaman bhi hai safar mein aur makan bhi
tasalsul mein nihan isbaat-e-jaan hai
jahan taKHliq o KHaliq ham-zaban hain
wahan har jumbish-e-lab kun-fakan hai
manazil-dar-manazil hain safar mein
safar manzil hai manzil karwan hai
saba mastur hai parde mein lekin
saba ka naqsh har gul par ayan hai
malaik bhi jhuken labbaik kah kar
anal-haq ki fughan aisi azan hai
farishton ke paron ko chhu ke guzre
ye naqsh-e-pa-e-KHaki aasman hai
mere dam se maqalat-e-azal hain
mere dam se abad ki dastan hai
mera wirsa junun ki aabiyari
meri miras tarkib-e-fughan hai
main hast-o-bud ke bas mein nahin hun
mere bas mein hayat-e-jawidan hai
tasawwur se harim-e-zat 'talat'
kabhi aatish kabhi aatish-fishan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.