kabhu dikha ke kamar aur kabhu dahan mujhko
kabhū dikhā ke kamar aur kabhū dahāñ mujh ko
bahut ba-tañg kiyā tū ne ai miyāñ mujh ko
vo din ga.e ki uThāte the yaar nik.hat-e-gul
hai be-dimāġhī-e-dil in diloñ girāñ mujh ko
maiñ rah-guzar meñ paḌā huuñ ba-rañg-e-naqsh-e-qadam
maiñ chhoḌā kis ke bharose pe kārvāñ mujh ko
maiñ huuñ to murġh-e-chaman par ġhalat-nigāhī se
haiñ kitne roz ki bhūlā hai āshiyāñ mujh ko
to itne vāste ai bāġhbāñ na kāvish kar
bahut hai sāya-e-dīvār-e-gulsitāñ mujh ko
ravā rakhūñ na ki hove malak bhī paas mire
kiyā hai bas-ki mohabbat ne bad-gumāñ mujh ko
mirī nazar meñ hai 'qā.em' ye kā.enāt tamām
nazar meñ go koī laatā nahīñ hai yaañ mujh ko
kabhu dikha ke kamar aur kabhu dahan mujh ko
bahut ba-tang kiya tu ne ai miyan mujh ko
wo din gae ki uThate the yar nikhat-e-gul
hai be-dimaghi-e-dil in dilon giran mujh ko
main rah-guzar mein paDa hun ba-rang-e-naqsh-e-qadam
main chhoDa kis ke bharose pe karwan mujh ko
main hun to murgh-e-chaman par ghalat-nigahi se
hain kitne roz ki bhula hai aashiyan mujh ko
to itne waste ai baghban na kawish kar
bahut hai saya-e-diwar-e-gulsitan mujh ko
rawa rakhun na ki howe malak bhi pas mere
kiya hai bas-ki mohabbat ne bad-guman mujh ko
meri nazar mein hai 'qaem' ye kaenat tamam
nazar mein go koi lata nahin hai yan mujh ko
- Deewan-e-Qaem Chandpuri (Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.