kabhu tak ke dar ko khaDe rahe kabhu aah bhar ke chale gae
kabhu tak ke dar ko khaDe rahe kabhu aah bhar ke chale gae
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
kabhū tak ke dar ko khaḌe rahe kabhū aah bhar ke chale ga.e
tire kūche meñ jo ham aa.e bhī to Thahar Thahar ke chale ga.e
ga.e baaġh meñ kisī gul tale to vahāñ bhī apnā na jī lagā
le ba-rañg-e-ġhuncha jamā.iyāñ tujhe yaad kar ke chale ga.e
kahīñ ġhash meñ thā maiñ paḌā huā suno aur qahr kī baat tum
mujhe dekhne ko jo aa.e vo to bigaḌ sañvar ke chale ga.e
karūñ mū o zulf kā kyā bayāñ ki ajiib qissa hai darmiyāñ
ye idhar ko siine pe aa rahī vo udhar kamar ke chale ga.e
ab aniis hai na jalīs hai na rafīq hai na shafīq hai
ham akele ghar meñ paḌe rahe sabhī log ghar ke chale ga.e
ye ajab zamāne kī rasm hai ki jinhoñ pe marte the ham sadā
pas-e-marg aa vahī ḳhaak meñ hameñ aah dhar ke chale ga.e
chaḌhe koThe par to the 'mus.hafī' pa na daav par vo mire chaḌhe
maiñ chaḌhā.ūñ jab talak āstīñ uThe aur utar ke chale ga.e
kabhu tak ke dar ko khaDe rahe kabhu aah bhar ke chale gae
tere kuche mein jo hum aae bhi to Thahar Thahar ke chale gae
gae bagh mein kisi gul tale to wahan bhi apna na ji laga
le ba-rang-e-ghuncha jamaiyan tujhe yaad kar ke chale gae
kahin ghash mein tha main paDa hua suno aur qahr ki baat tum
mujhe dekhne ko jo aae wo to bigaD sanwar ke chale gae
karun mu o zulf ka kya bayan ki ajib qissa hai darmiyan
ye idhar ko sine pe aa rahi wo udhar kamar ke chale gae
ab anis hai na jalis hai na rafiq hai na shafiq hai
hum akele ghar mein paDe rahe sabhi log ghar ke chale gae
ye ajab zamane ki rasm hai ki jinhon pe marte the hum sada
pas-e-marg aa wahi KHak mein hamein aah dhar ke chale gae
chaDhe koThe par to the 'mushafi' pa na daw par wo mere chaDhe
main chaDhaun jab talak aastin uThe aur utar ke chale gae
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(divan-e-soom) (Pg. 230)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.