kachchi aankhon ke zaiqe sare
kachchī āñkhoñ ke zā.iqe saare
chakh ga.e kaḌve tajrabe saare
Tahniyāñ dil kī be-libās huiiñ
aas ke panchhī uḌ ga.e saare
hijr kī rut meñ kaisā nashsha hai
ḳhvāb-āvar haiñ ratjage saare
diid iz.hār qurb lams visāl
hal nahīñ hote mas.ale saare
kaise imkāñ the apne yāroñ meñ
vaqt badlā badal ga.e saare
raat bhar 'ālam-e-huzūrī thā
aan baiThe the dil-jale saare
garm jin se thā kārobār-e-shauq
mere she'roñ meñ jī uThe saare
kachchi aankhon ke zaiqe sare
chakh gae kaDwe tajrabe sare
Tahniyan dil ki be-libas huin
aas ke panchhi uD gae sare
hijr ki rut mein kaisa nashsha hai
KHwab-awar hain ratjage sare
did izhaar qurb lams visal
hal nahin hote masale sare
kaise imkan the apne yaron mein
waqt badla badal gae sare
raat bhar 'alam-e-huzuri tha
aan baiThe the dil-jale sare
garm jin se tha karobar-e-shauq
mere she'ron mein ji uThe sare
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 61)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.