Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kachoke dil ko lagata hua sa kuchh to hai

Suleman Khumar

kachoke dil ko lagata hua sa kuchh to hai

Suleman Khumar

MORE BYSuleman Khumar

    kachoke dil ko lagātā huā kuchh to hai

    ye raat raat jagātā huā kuchh to hai

    karishma ye tire alfāz nahīñ phir bhī

    fazā meñ zahr ugātā huā kuchh to hai

    agar ye maut saaya nahīñ to phir kyā hai

    qadam qadam pe bulātā huā kuchh to hai

    na jaag uThā ho kahīñ biitī umr lamha

    ragoñ meñ shor machātā huā kuchh to hai

    ta.alluqāt ḳhushbū ki rishta-e-māzī

    tumhārī bazm se jaatā huā kuchh to hai

    ik ehtimām-e-ḳhusūsī ke bāvajūd 'ḳhumār'

    ye fāsloñ ko baḌhātā huā kuchh to hai

    kachoke dil ko lagata hua sa kuchh to hai

    ye raat raat jagata hua sa kuchh to hai

    karishma ye tere alfaz ka nahin phir bhi

    faza mein zahr ugata hua sa kuchh to hai

    agar ye maut ka saya nahin to phir kya hai

    qadam qadam pe bulata hua sa kuchh to hai

    na jag uTha ho kahin biti umr ka lamha

    ragon mein shor machata hua sa kuchh to hai

    talluqat ki KHushbu ki rishta-e-mazi

    tumhaari bazm se jata hua sa kuchh to hai

    ek ehtimam-e-KHususi ke bawajud 'KHumar'

    ye faslon ko baDhata hua sa kuchh to hai

    Source :
    • Book : Tahreek Silver Jubilee Number (Pg. 439)
    • Author : Gopal Mittal, Makhmoor Saeedi, Prem Gopal Mittal
    • Publication : Monthly Tahreek, 9, Ansari Market, Daryaganj, New Delhi-110002 (July, Aug., Sep. Oct. 1978,Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,)
    • Edition : July, Aug., Sep. Oct. 1978,Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now