kaDe hain hijr ke lamhat us se kah dena
kaḌe haiñ hijr ke lamhāt us se kah denā
bikhar rahī hai mirī zaat us se kah denā
havā-e-mausam-e-ġham us ke shahr jaa.e to
mire dukhoñ kī koī baat us se kah denā
ye vahshateñ ye udāsī ye ratjagoñ ke azaab
usī kī haiñ ye ināyāt us se kah denā
vo dil kī baazī jahāñ mujh se jītnā chāhe
maiñ maan lūñgā vahīñ maat us se kah denā
vafā kī raah meñ maiñ aaj bhī akelā huuñ
koī nahīñ hai mire saath us se kah denā
jahāñ pe adl kī zanjīr nasb hai 'shahbāz'
vahīñ kaTe haiñ mire haat us se kah denā
kaDe hain hijr ke lamhat us se kah dena
bikhar rahi hai meri zat us se kah dena
hawa-e-mausam-e-gham us ke shahr jae to
mere dukhon ki koi baat us se kah dena
ye wahshaten ye udasi ye ratjagon ke azab
usi ki hain ye inayat us se kah dena
wo dil ki bazi jahan mujh se jitna chahe
main man lunga wahin mat us se kah dena
wafa ki rah mein main aaj bhi akela hun
koi nahin hai mere sath us se kah dena
jahan pe adl ki zanjir nasb hai 'shahbaz'
wahin kaTe hain mere hat us se kah dena
- Book : Urdu Gazal ka Magribi Daricha (Pg. 347)
- Author : Dr. Jawaz Jafri
- Publication : Kitab Saray, Lahore (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.