kaDe hain kos safar dur ka zaruri hai
kaḌe haiñ kos safar duur kā zarūrī hai
gharoñ se rishtoñ kā ab ḳhātma zarūrī hai
parastish apnī anā ke butoñ kī kar lī bahut
sukūn-e-dil ke liye ik ḳhudā zarūrī hai
kahīñ to thoḌī sī gunjā.ish-e-ḳhulūs mile
diloñ meñ chhup ke yahāñ jhāñknā zarūrī hai
maiñ sañg-e-rah huuñ to Thokar kī zad pe ā.ūñgā
tum ā.īna ho to phir TūTnā zarūrī hai
na socho tark-e-ta.alluq ke moḌ par ruk kar
qadam baḌhāo ki ye hādsa zarūrī hai
tamām safhe sabhī goshvāre jab tere
hamārā karb kitāboñ meñ kyā zarūrī hai
kaDe hain kos safar dur ka zaruri hai
gharon se rishton ka ab KHatma zaruri hai
parastish apni ana ke buton ki kar li bahut
sukun-e-dil ke liye ek KHuda zaruri hai
kahin to thoDi si gunjaish-e-KHulus mile
dilon mein chhup ke yahan jhankna zaruri hai
main sang-e-rah hun to Thokar ki zad pe aaunga
tum aaina ho to phir TuTna zaruri hai
na socho tark-e-talluq ke moD par ruk kar
qadam baDhao ki ye hadsa zaruri hai
tamam safhe sabhi goshware jab tere
hamara karb kitabon mein kya zaruri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.