kaDi mehnat hai ya ye tyag hai ya ye tapasya hai
kaDi mehnat hai ya ye tyag hai ya ye tapasya hai
Anjana Singh Sengar
MORE BYAnjana Singh Sengar
kaḌī mehnat hai yā ye tyaag hai yā ye tapasyā hai
maiñ aksar sochtī rahtī huuñ merī zindagī kyā hai
anubhav zindagī kī sab se achchhī pāThshāla hai
magar kambaḳht us kī fees itnī hai ki tauba hai
vo mujh se kah rahā hai ishq hai ik aag kā dariyā
to phir is aag meñ tū kuud jā nā dekhtā kyā hai
tumhāre paas to sab kuchh hai bas ik maiñ nahīñ to kyā
mirī āñkhoñ kī añgnā.ī meñ ik yādoñ kā mela hai
kisī kā koī ho jaa.e nahīñ ab farq paḌtā hai
ye dil to kal bhī tanhā thā ye dil to ab bhī tanhā hai
nadī tālāb jharne aur kueñ haiñ jis ke qabze meñ
magar hairat ye hai vo shaḳhs ab bhī kitnā pyāsā hai
mirī shohrat mirā sammān sab us kī navāzish hai
magar maiñ sochtī huuñ 'anjanā' is meñ mirā kyā hai
kaDi mehnat hai ya ye tyag hai ya ye tapasya hai
main aksar sochti rahti hun meri zindagi kya hai
anubhaw zindagi ki sab se achchhi paThshaala hai
magar kambaKHt us ki fees itni hai ki tauba hai
wo mujh se kah raha hai ishq hai ek aag ka dariya
to phir is aag mein tu kud ja na dekhta kya hai
tumhaare pas to sab kuchh hai bas ek main nahin to kya
meri aankhon ki angnai mein ek yaadon ka mela hai
kisi ka koi ho jae nahin ab farq paDta hai
ye dil to kal bhi tanha tha ye dil to ab bhi tanha hai
nadi talab jharne aur kuen hain jis ke qabze mein
magar hairat ye hai wo shaKHs ab bhi kitna pyasa hai
meri shohrat mera samman sab us ki nawazish hai
magar main sochti hun 'anjana' is mein mera kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.