kaDi nigah rakhega wo sim-tan mujh par
kaḌī nigāh rakhegā vo sīm-tan mujh par
ki mehrbāñ hai kisī phuul kā badan mujh par
maiñ ek khoī huī aag kī talāsh meñ thā
shaguft hone lage haiñ magar chaman mujh par
phir ek baar vahī dhuup oḌh kar niklūñ
karegā chhāñv agar aaj bhī gagan mujh par
firāq-o-vasl haqīqat meñ ek hoñ ki na hoñ
kisī ke ishq meñ lāzim hai husn-e-zan mujh par
alag alag hī raheñge dam-e-visāl bhī ham
maiñ apne man pe fidā huuñ na merā man mujh par
kisī tilism se raushan hai merā dil 'sājid'
dayār-e-ġhaib se utregā koī fan mujh par
kaDi nigah rakhega wo sim-tan mujh par
ki mehrban hai kisi phul ka badan mujh par
main ek khoi hui aag ki talash mein tha
shaguft hone lage hain magar chaman mujh par
phir ek bar wahi dhup oDh kar niklun
karega chhanw agar aaj bhi gagan mujh par
firaq-o-wasl haqiqat mein ek hon ki na hon
kisi ke ishq mein lazim hai husn-e-zan mujh par
alag alag hi rahenge dam-e-visal bhi hum
main apne man pe fida hun na mera man mujh par
kisi tilism se raushan hai mera dil 'sajid'
dayar-e-ghaib se utrega koi fan mujh par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.