kaf-e-qatil mein KHanjar jagta hai
kaf-e-qātil meñ ḳhanjar jāgtā hai
baḌā pur-kaif manzar jāgtā hai
udhar añgḌā.iyāñ letī haiñ nīñdeñ
idhar zaḳhmoñ kā bistar jāgtā hai
uThe hai pahle siine meñ dhuāñ sā
phir āñkhoñ meñ samundar jāgtā hai
'ajab hai dard ko yādoñ se nisbat
ki naġhma jaise lai par jāgtā hai
tamannāoñ kā ye anjām tauba
lahū kā ik samundar jāgtā hai
ye 'ālam to na thā darmāñ se pahle
ki ab rag rag meñ nishtar jāgtā hai
tumhāre she'r bhī 'asrār' kyā haiñ
bas ik lafzoñ kā lashkar jāgtā hai
kaf-e-qatil mein KHanjar jagta hai
baDa pur-kaif manzar jagta hai
udhar angDaiyan leti hain ninden
idhar zaKHmon ka bistar jagta hai
uThe hai pahle sine mein dhuan sa
phir aankhon mein samundar jagta hai
'ajab hai dard ko yaadon se nisbat
ki naghma jaise lai par jagta hai
tamannaon ka ye anjam tauba
lahu ka ek samundar jagta hai
ye 'alam to na tha darman se pahle
ki ab rag rag mein nishtar jagta hai
tumhaare she'r bhi 'asrar' kya hain
bas ek lafzon ka lashkar jagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.