Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kah de man ki baat to gori kahe ko sharmati hai

Nasir Shahzad

kah de man ki baat to gori kahe ko sharmati hai

Nasir Shahzad

MORE BYNasir Shahzad

    kah de man baat to gorī kaahe ko sharmātī hai

    shaam Dhale tujh ko kis aprādhī yaad satātī hai

    tujh ko mujh se prem hai bekal hai merī chāhat meñ

    terī pāyaliyā jhan jhan saare bhed batātī hai

    khol ke ghūñghaT ke paT pyaar se kartī hai parnām mujhe

    bhor bha.e jab niir bharan ko vo panghaT par aatī hai

    bāñdh ga.ī hai mujh se ai dil bandhan priit Dorī se

    gaañv vo naar jo apne jauban par itrātī hai

    kuchh to batā do kaun hai jo tere manvā ko luuT gayā

    kis ḳhātir to ma.abad meñ diip jalāne jaatī hai

    'nāsir' ruuh meñ ghul jaatī hai mast mahak mādhūrī

    jab sakhiyoñ ke sañg vo naarī nadiyā biich nahātī hai

    kah de man ki baat to gori kahe ko sharmati hai

    sham Dhale tujh ko kis apradhi ki yaad satati hai

    tujh ko mujh se prem hai tu bekal hai meri chahat mein

    teri payaliya ki jhan jhan sare bhed batati hai

    khol ke ghunghaT ke paT pyar se karti hai parnam mujhe

    bhor bhae jab nir bharan ko wo panghaT par aati hai

    bandh gai hai mujh se ai dil bandhan prit ki Dori se

    ganw ki wo nar jo apne jauban par itraati hai

    kuchh to bata do kaun hai jo tere manwa ko luT gaya

    kis ki KHatir to mabad mein dip jalane jati hai

    'nasir' ruh mein ghul jati hai mast mahak madhuri ki

    jab sakhiyon ke sang wo nari nadiya bich nahati hai

    Source :
    • Book : mahvar-volume-12 (Pg. 134)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now