kah diya tha wafa-shi’ar use
kah diyā thā vafā-shi’ār use
ab hai merā hī intizār use
āsmāñ par chaḌhā diyā thā kal
ab zamīñ par bhī to utaar use
apne ḳhud-sāḳhta usūloñ se
mil gayā kuchh dinoñ qarār use
sab ne nazreñ bachā.īñ mauqa diyā
kahte haiñ ab gunāhgār use
log kahne lage haiñ dīvāna
mil ga.ī hai rah-e-farār use
kal vo degā javāb kis kis ko
naam le kar tū mat pukār use
dekhtā hī nahīñ kisī kī taraf
jaane kis kā hai intizār use
band āñkheñ kiye vo hañstā rahā
ham jagāte rahe 'vaqār' use
kah diya tha wafa-shi’ar use
ab hai mera hi intizar use
aasman par chaDha diya tha kal
ab zamin par bhi to utar use
apne KHud-saKHta usulon se
mil gaya kuchh dinon qarar use
sab ne nazren bachain mauqa diya
kahte hain ab gunahgar use
log kahne lage hain diwana
mil gai hai rah-e-farar use
kal wo dega jawab kis kis ko
nam le kar tu mat pukar use
dekhta hi nahin kisi ki taraf
jaane kis ka hai intizar use
band aankhen kiye wo hansta raha
hum jagate rahe 'waqar' use
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.