kah gaya tha wo kuchh ishaare se
kah gayā thā vo kuchh ishāre se
baat samjhā.eñ hañste taare se
us se milte hī aañkh bhar aa.ī
lahar ik aa lagī kināre se
gāliyāñ ab vo kyuuñ nahīñ dete
kyā ḳhatā ho ga.ī hamāre se
kis ko jā kar batā.ūñ maiñ ye baat
din guzartā nahīñ guzāre se
bhuul jaate ho naam tak merā
kyā tavaqqo rakhūñ tumhāre se
kah gaya tha wo kuchh ishaare se
baat samjhaen hanste tare se
us se milte hi aankh bhar aai
lahar ek aa lagi kinare se
galiyan ab wo kyun nahin dete
kya KHata ho gai hamare se
kis ko ja kar bataun main ye baat
din guzarta nahin guzare se
bhul jate ho nam tak mera
kya tawaqqo rakhun tumhaare se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.