kah kar wo shab-ba-KHair dua de ke so gaya
kah kar vo shab-ba-ḳhair du'ā de ke so gayā
bechain aarzū ko ye kyā de ke so gayā
Daalā hai aaj kaise pas-o-pesh meñ mujhe
tasvīr apnī jān-e-adā de ke so gayā
tang aa ke merī tifl-mizājī se āḳhirash
ḳhvāb-āvarī kī mujh ko davā de ke so gayā
kitnī shaboñ kā jaagā vo duniyā ko tohfatan
zarb-e-kalīm bāñg-e-darā de ke so gayā
jaagā to nīm-shab meñ vo makkār santarī
sab jāgte raho ye sadā de ke so gayā
vo ik nigāh-e-nāz-o-adā Dālne ke baa'd
bīmār dil ko dard nayā de ke so gayā
dil Dūbtā hai 'nazr' to ham-rāz vo mirā
apnā jamāl apnī vafā de ke so gayā
kah kar wo shab-ba-KHair du'a de ke so gaya
bechain aarzu ko ye kya de ke so gaya
Dala hai aaj kaise pas-o-pesh mein mujhe
taswir apni jaan-e-ada de ke so gaya
tang aa ke meri tifl-mizaji se aaKHirash
KHwab-awari ki mujh ko dawa de ke so gaya
kitni shabon ka jaga wo duniya ko tohfatan
zarb-e-kalim bang-e-dara de ke so gaya
jaga to nim-shab mein wo makkar santari
sab jagte raho ye sada de ke so gaya
wo ek nigah-e-naz-o-ada Dalne ke ba'd
bimar dil ko dard naya de ke so gaya
dil Dubta hai 'nazr' to ham-raaz wo mera
apna jamal apni wafa de ke so gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.