kah rahe hain yahi bigDe hue haalat ki bas
kah rahe haiñ yahī bigḌe hue hālāt ki bas
ab na qaabū meñ raheñge mire jazbāt ki bas
koī monis koī ġham-ḳhvār na aaḌe aayā
is qadar aaj huī aañkh se barsāt ki bas
jin kā iz.hār bhī karne se abhī qāsir huuñ
dil pe vo guzre haiñ is daur meñ sadmāt ki bas
koī hañgāma uThā aur na qayāmat aa.ī
zulm dhāte rahe yuuñ aaj ke hālāt ki bas
aap jis raat meñ aa.e haiñ zamāne ko nazar
muntazir ham bhī to baiThe haiñ usī raat ki bas
vo jo ḳhātir meñ kisī ko nahīñ laate haiñ yahāñ
kis qadar past haiñ un sab ke ḳhayālāt ki bas
kah rahe hain yahi bigDe hue haalat ki bas
ab na qabu mein rahenge mere jazbaat ki bas
koi monis koi gham-KHwar na aaDe aaya
is qadar aaj hui aankh se barsat ki bas
jin ka izhaar bhi karne se abhi qasir hun
dil pe wo guzre hain is daur mein sadmat ki bas
koi hangama uTha aur na qayamat aai
zulm dhate rahe yun aaj ke haalat ki bas
aap jis raat mein aae hain zamane ko nazar
muntazir hum bhi to baiThe hain usi raat ki bas
wo jo KHatir mein kisi ko nahin late hain yahan
kis qadar past hain un sab ke KHayalat ki bas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.