kah rahe the log sahra jal gaya
kah rahe the log sahrā jal gayā
phir ḳhabar aa.ī ki dariyā jal gayā
dekh lo maiñ bhī huuñ merā jism bhī
bas huā ye hai ki chehra jal gayā
mere andāze kī nisbat vo charāġh
kam jalā thā phir bhī achchhā jal gayā
short circuit se uḌiiñ chiñgāriyāñ
sadr meñ ik phūl-vālā jal gayā
aag barsī thī badī ke shahr par
ik hamārā bhī shanāsā jal gayā
maiñ to sho.aloñ meñ nahāyā thā 'faroġh'
duur se logoñ ne samjhā jal gayā
kah rahe the log sahra jal gaya
phir KHabar aai ki dariya jal gaya
dekh lo main bhi hun mera jism bhi
bas hua ye hai ki chehra jal gaya
mere andaze ki nisbat wo charagh
kam jala tha phir bhi achchha jal gaya
short circuit se uDin chingariyan
sadr mein ek phul-wala jal gaya
aag barsi thi badi ke shahr par
ek hamara bhi shanasa jal gaya
main to shoalon mein nahaya tha 'farogh'
dur se logon ne samjha jal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.