kah rahi hai wo nazar hanste raho
kah rahī hai vo nazar hañste raho
bhuul kar aib-o-hunar hañste raho
ho ke ḳhud se be-ḳhabar hañste raho
shoḳhī-e-taqdīr par hañste raho
ġham-zada rahne se kuchh hāsil nahīñ
zindagī hai muḳhtasar hañste raho
tum pe ab uñglī na uTThegī koī
hañsne vaalo be-ḳhatar hañste raho
is sadī kā koī mustaqbil nahīñ
ahl-e-fan ahl-e-nazar hañste raho
kah rahi hai wo nazar hanste raho
bhul kar aib-o-hunar hanste raho
ho ke KHud se be-KHabar hanste raho
shoKHi-e-taqdir par hanste raho
gham-zada rahne se kuchh hasil nahin
zindagi hai muKHtasar hanste raho
tum pe ab ungli na uTThegi koi
hansne walo be-KHatar hanste raho
is sadi ka koi mustaqbil nahin
ahl-e-fan ahl-e-nazar hanste raho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.