kah rahi hai ye be-qarari aaj
kah rahī hai ye be-qarārī aaj
aur hai rañg-e-dil-nigārī aaj
dil kī hālat batā rahī hai saaf
dil ne khāyā hai zaḳhm-e-kārī aaj
allāh allāh ye dil-gudāz nigāh
ho chukī ham se parda-dārī aaj
na chhupī dil kī baat nazroñ se
rah ga.ī sab fareb-kārī aaj
sham.a to roz uThā.ī jaatī hai
ai sahar hai hamārī baarī aaj
thī jo kal tak umiid ai 'kaukab'
vahī zālim hai sogvārī aaj
kah rahi hai ye be-qarari aaj
aur hai rang-e-dil-nigari aaj
dil ki haalat bata rahi hai saf
dil ne khaya hai zaKHm-e-kari aaj
allah allah ye dil-gudaz nigah
ho chuki hum se parda-dari aaj
na chhupi dil ki baat nazron se
rah gai sab fareb-kari aaj
shama to roz uThai jati hai
ai sahar hai hamari bari aaj
thi jo kal tak umid ai 'kaukab'
wahi zalim hai sogwari aaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.