Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kah rahi hai ye kya saba kuchh soch

Nasir Zaidi

kah rahi hai ye kya saba kuchh soch

Nasir Zaidi

MORE BYNasir Zaidi

    kah rahī hai ye kyā sabā kuchh soch

    ai hasīñ paikar-e-jafā kuchh soch

    chand roza bahār par mat

    gul anjām kyā huā kuchh soch

    ye hasīñ rut ye chāñdnī ye bahār

    aise aalam meñ to na kuchh soch

    kyā hue rah-ravān-e-manzil-e-shauq

    kyuuñ hai sunsān rāstā kuchh soch

    ḳhaar jis se lipaT ke rote the

    ābla-pā vo kaun thā kuchh soch

    ham na hoñge to terī mahfil meñ

    kaun hogā ġhazal-sarā kuchh soch

    biphrī lahroñ pe chhoḌ kashtī

    kyā kiyā ne nā-ḳhudā kuchh soch

    rahbarī bharam na khul jaa.e

    pā-shikastoñ ke rahnumā kuchh soch

    kis ko chāhe tire sivā 'nāsir'

    kaun hai tujh dūsrā kuchh soch

    kah rahi hai ye kya saba kuchh soch

    ai hasin paikar-e-jafa kuchh soch

    chand roza bahaar par mat ja

    gul ka anjam kya hua kuchh soch

    ye hasin rut ye chandni ye bahaar

    aise aalam mein to na ja kuchh soch

    kya hue rah-rawan-e-manzil-e-shauq

    kyun hai sunsan rasta kuchh soch

    KHar jis se lipaT ke rote the

    aabla-pa wo kaun tha kuchh soch

    hum na honge to teri mahfil mein

    kaun hoga ghazal-sara kuchh soch

    biphri lahron pe chhoD di kashti

    kya kiya tu ne na-KHuda kuchh soch

    rahbari ka bharam na khul jae

    pa-shikaston ke rahnuma kuchh soch

    kis ko chahe tere siwa 'nasir'

    kaun hai tujh sa dusra kuchh soch

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now