kaha hai kis ne ki ab to shayad gulab mausam idhar na aae
kaha hai kis ne ki ab to shayad gulab mausam idhar na aae
Mohammad Firoz Shah
MORE BYMohammad Firoz Shah
kahā hai kis ne ki ab to shāyad gulāb mausam idhar na aa.e
bhalā ye mumkin hai jaane vaalā palaT ke 'fīroz' ghar na aa.e
huā vo aadī kuchh is tarah se qafas ke majbūr roz-o-shab kā
rihā huā bhī magar parinde ke der tak bāl-o-par na aa.e
akelgī ke azāb-e-mausam ab apnī hastī pe bhog pyāre
ki ḳhud tumhī ne mujhe kahā thā tirī duā meñ asar na aa.e
munāfiqat ke fareb-sahrā meñ dhuup ne chaaT lī haiñ āñkheñ
kaḌī rutoñ kī masāfatoñ meñ rafāqatoñ ke shajar na aa.e
maiñ shām-e-shahr-e-vafā meñ 'fīroz' us kī āvāz DhūñDhtā huuñ
jahāñ vo mil ke bichhaḌ gayā thā vo sang-e-manzil nazar na aa.e
kaha hai kis ne ki ab to shayad gulab mausam idhar na aae
bhala ye mumkin hai jaane wala palaT ke 'firoz' ghar na aae
hua wo aadi kuchh is tarah se qafas ke majbur roz-o-shab ka
riha hua bhi magar parinde ke der tak baal-o-par na aae
akelgi ke azab-e-mausam ab apni hasti pe bhog pyare
ki KHud tumhi ne mujhe kaha tha teri dua mein asar na aae
munafiqat ke fareb-sahra mein dhup ne chaT li hain aankhen
kaDi ruton ki masafaton mein rafaqaton ke shajar na aae
main sham-e-shahr-e-wafa mein 'firoz' us ki aawaz DhunDhta hun
jahan wo mil ke bichhaD gaya tha wo sang-e-manzil nazar na aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.