kaha hai maine ye kab mahtab mil jae
kahā hai maiñ ne ye kab māhtāb mil jaa.e
mujhe to bas mirī āñkhoñ kā ḳhvāb mil jaa.e
maiñ is galī se yahī soch kar guzartā huuñ
kitāb-e-zīst kā gum-gashta baab mil jaa.e
sabhī gunāh maiñ hañs kar qubūl kar lūñgā
faqīh-e-shahr kā tujh ko ḳhitāb mil jaa.e
mile faqat mire hisse kī raushnī mujh ko
talab kahāñ hai koī āftāb mil jaa.e
ba-qadr-e-zarf hī garche savāl hai merā
ajab nahīñ ki mujhe be-hisāb mil jaa.e
maiñ bahr-e-fikr meñ huuñ ġharq is liye 'nāyāb'
guhar mujhe bhī koī zer-e-āb mil jaa.e
kaha hai main ne ye kab mahtab mil jae
mujhe to bas meri aankhon ka KHwab mil jae
main is gali se yahi soch kar guzarta hun
kitab-e-zist ka gum-gashta bab mil jae
sabhi gunah main hans kar qubul kar lunga
faqih-e-shahr ka tujh ko KHitab mil jae
mile faqat mere hisse ki raushni mujh ko
talab kahan hai koi aaftab mil jae
ba-qadr-e-zarf hi garche sawal hai mera
ajab nahin ki mujhe be-hisab mil jae
main bahr-e-fikr mein hun gharq is liye 'nayab'
guhar mujhe bhi koi zer-e-ab mil jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.