kaha jo un se ki ab be-qarar hum bhi hain
kahā jo un se ki ab be-qarār ham bhī haiñ
to hañs ke kahte haiñ be-iḳhtiyār ham bhī haiñ
bahār-e-gulshan-e-hastī se ho ke begāna
asīr-e-dām-e-ġham-e-rozgār ham bhī haiñ
habāb maujoñ pe ubhrā to aah bhar ke kahā
rahīn-e-hastī-e-nā-pā.edār ham bhī haiñ
hasīñ manāzir-e-fitrat ke dekhne vaalo
fidā-e-san.at-e-parvardigār ham bhī haiñ
baḌhā de jām-e-mohabbat idhar bhī ai saaqī
nigāh-e-lutf ke ummīd-vār ham bhī haiñ
galī ko un kī gulistāñ banā diyā ham ne
ba-rang-e-mauj-e-nasīm-e-bahār ham bhī haiñ
guzar chuke haiñ jidhar se musāfirān-e-'adam
ravāñ udhar hī sar-e-rahguzār ham bhī haiñ
jo qāfile meñ nahīñ haiñ to ye bhī kyā kam hai
ki rāh-e-'ishq meñ musht-e-ġhubār ham bhī haiñ
butoñ ke ishq meñ barbād ho ga.e lekin
jahān-e-'ishq kī ik yādgār ham bhī haiñ
zahe-nasīb adā ho rahī hai rasm-e-vafā
vo sharmsār haiñ to ashk-bār ham bhī haiñ
kabhī na ham ne harīfoñ kā e’tibār kiyā
nigāh-e-ġhair meñ be-e'tibār ham bhī haiñ
vo aañkh uThā ke na dekheñ hameñ to kyā ġham hai
ki un kī bazm meñ begāna-vār ham bhī haiñ
tasavvurāt kī rangīniyāñ haiñ pesh-e-nazar
chaman meñ 'zabt' ba-rang-e-bahār ham bhī haiñ
kaha jo un se ki ab be-qarar hum bhi hain
to hans ke kahte hain be-iKHtiyar hum bhi hain
bahaar-e-gulshan-e-hasti se ho ke begana
asir-e-dam-e-gham-e-rozgar hum bhi hain
habab maujon pe ubhra to aah bhar ke kaha
rahin-e-hasti-e-na-paedar hum bhi hain
hasin manazir-e-fitrat ke dekhne walo
fida-e-sanat-e-parwardigar hum bhi hain
baDha de jam-e-mohabbat idhar bhi ai saqi
nigah-e-lutf ke ummid-war hum bhi hain
gali ko un ki gulistan bana diya hum ne
ba-rang-e-mauj-e-nasim-e-bahaar hum bhi hain
guzar chuke hain jidhar se musafiran-e-'adam
rawan udhar hi sar-e-rahguzar hum bhi hain
jo qafile mein nahin hain to ye bhi kya kam hai
ki rah-e-'ishq mein musht-e-ghubar hum bhi hain
buton ke ishq mein barbaad ho gae lekin
jahan-e-'ishq ki ek yaadgar hum bhi hain
zahe-nasib ada ho rahi hai rasm-e-wafa
wo sharmsar hain to ashk-bar hum bhi hain
kabhi na hum ne harifon ka e’tibar kiya
nigah-e-ghair mein be-e'tibar hum bhi hain
wo aankh uTha ke na dekhen hamein to kya gham hai
ki un ki bazm mein begana-war hum bhi hain
tasawwuraat ki ranginiyan hain pesh-e-nazar
chaman mein 'zabt' ba-rang-e-bahaar hum bhi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.