kaha KHwab ne main adhura rahunga
kahā ḳhvāb ne maiñ adhūrā rahūñgā
sahar tak magar bas maiñ terā rahūñgā
ki jab tak rahegī yuuñ kachchī ye miTTī
maiñ har roz paikar badaltā rahūñgā
ho jaa.e na vo bhī kahīñ duur mujh se
agar us ko maiñ apnā kahtā rahūñgā
kisī din ye saaya bhī gal jaanā hai gar
yūñhī dhuup meñ maiñ jo chaltā rahūñgā
mujhe umr ne hai Thagā kis tarah se
mujhe to lagā thā maiñ bachcha rahūñgā
safar zindagī kā thakātā bahut hai
maiñ har marhale par Thahartā rahūñgā
mohabbat kā saudā hai ghāTe kā saudā
mirī ho na ho tū maiñ terā rahūñgā
suno 'ahad' koī taḳhallus nahīñ hai
merā ahd hai maiñ nibhātā rahūñgā
kaha KHwab ne main adhura rahunga
sahar tak magar bas main tera rahunga
ki jab tak rahegi yun kachchi ye miTTi
main har roz paikar badalta rahunga
ho jae na wo bhi kahin dur mujh se
agar us ko main apna kahta rahunga
kisi din ye saya bhi gal jaana hai gar
yunhi dhup mein main jo chalta rahunga
mujhe umr ne hai Thaga kis tarah se
mujhe to laga tha main bachcha rahunga
safar zindagi ka thakata bahut hai
main har marhale par Thaharta rahunga
mohabbat ka sauda hai ghaTe ka sauda
meri ho na ho tu main tera rahunga
suno 'ahad' koi taKHallus nahin hai
mera ahd hai main nibhata rahunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.