kaha kis ne ki gham-KHwari karega
kahā kis ne ki ġham-ḳhvārī karegā
vo banda bas adākārī karegā
zamīn-e-dil pe boyā karb us ne
maiñ samjhā thā ki dildārī karegā
maiñ us ke lab pe ġhazleñ kah rahā huuñ
use kahnā sadā-kārī karegā
utārūñgā ye poshāk-e-siyah kab
ye dil kab tak azā-dārī karegā
amaañ ho jaan kī zill-e-ilāhī
tujhe barbād darbārī karegā
jo sar mansūb hogā daar se ab
qabīle kī vo sardārī karegā
usī ke bachchoñ ko chhāñv milegī
yahāñ ab jo shajar-kārī karegā
kaha kis ne ki gham-KHwari karega
wo banda bas adakari karega
zamin-e-dil pe boya karb us ne
main samjha tha ki dildari karega
main us ke lab pe ghazlen kah raha hun
use kahna sada-kari karega
utarunga ye poshak-e-siyah kab
ye dil kab tak aza-dari karega
aman ho jaan ki zill-e-ilahi
tujhe barbaad darbari karega
jo sar mansub hoga dar se ab
qabile ki wo sardari karega
usi ke bachchon ko chhanw milegi
yahan ab jo shajar-kari karega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.