kaha kis ne ki ye banjar rahi hai
kahā kis ne ki ye banjar rahī hai
zamīñ dil kī hamesha tar rahī hai
mire hāthoñ meñ apnā haath rakh de
mire andar koī shai mar rahī hai
maiñ bhāgā jā rahā huuñ be-tahāsha
tirī āvāz pīchhā kar rahī hai
añdhere kī shikāyat kyā karūñ maiñ
mirī shab kab mah-o-aḳhtar rahī hai
koī hotā to koī baat bhī thī
mirī parchhā.īñ mujh se Dar rahī hai
kaha kis ne ki ye banjar rahi hai
zamin dil ki hamesha tar rahi hai
mere hathon mein apna hath rakh de
mere andar koi shai mar rahi hai
main bhaga ja raha hun be-tahasha
teri aawaz pichha kar rahi hai
andhere ki shikayat kya karun main
meri shab kab mah-o-aKHtar rahi hai
koi hota to koi baat bhi thi
meri parchhain mujh se Dar rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.